Is post me aap ko Surah Fatiha ka ek aisa wazifa hasil hoga jiski barkat se apko Allah tala ki ghaibi madad hasil ho jaye gi kyon ke sirf Allah ki madad se hi insan ki taqdeer ke band darwazay khul sakte hain . Surah Fatiha quran ki pahli surah mubarka hai jo ka pahle pare me hai . Surah Fatiha ki qul 7 ayat hain . Yeh surah dar haqeeqat ek kamil dua hai jo Allah tala ne khud apne bnday ko sikhai hai . Ulma-e-karam ne surah fatiha k (25) se zyada naam bayan kiye hain . Surah Fatiha kyon k ek dua hai isliye yeh surah mubarka har musalman ki preshani ka bahtareen hal hai . Zamana-e-qadeem se musalman surah fatiha ki tilawat ke zariye shifa , hifazat or khwahishat ko haasil karte rahe hain or aaj ke daur me bhi is surah mubarka ko duniya bhar me tilawat kiya jata hai . Surah fatiha rohani madad haasil karne ka sabse bahtareen zariya hai . Lehaza rohani madad haasil karne ka liye musalman qadeem zamana se surah fatiha ki tilawat or wazifa karte rahe hain . Qadeem kitabon me surah fatiha ke beshumar wazaif darj hain . In wazaif me se sabse aasan wazifa or iske fade apko is post me haasil hongay laikin is se pahle apko hadees ki roshni me surah fatiha ki fazeelat ko jan lena chahiye .
Surah Al-Fatiha in Arabic
Surah fatiha ki fazeelat ke hawale se beshumar hadeesen mojood hain or aik andazay ka mutabik in ahadees ki tadad 70 se zyada ho sakti hai . Surah fatiha ke baray me chand mashoor ahadees apko is post me haasil hongi . Bukhari shareef ki hadees 4474 me Hazrat Abu Saeed Bin Mu’alla (R.A) ne kaha ke paigamber islam Hazrat Muhammad (saw) ne surah fatiha ko Quran ki sabse azeem surah qarar diya .Sahi muslim hadees no . 3995 me Hazrat Abu Hurayra (R.A) se rawayat hai ke Nabi Paak (saw) ne farmaya ka Allah tala ne Surah fatiha ko apne or apne bnday ke darmiyan aadhi aadhi taqseem kar di or farmaya mare bnday ka liye wohi sab kuch hai jo us ne manga . Phir pyaray Nabi (saw) ne is hadees ki tafseel bayan ki :
Jb banda العالمین رب اللہ الحمد parhta hai to Allah farmata hai mare bnday ne mari tareef ki Jab banda الرحیم الرحمن parhta hai to Allah farmata hai ka mare bnday ne mari sana ki Jab banda الدین یوم مالک parhta hai to is par Allah farmata hai ka mare banday ne mari barayi bayan ki Jab banda نستعین ایاک نعبدو ایاک parhta hai to is par Allah farmata hai ke mare or mare bnday ke darmiyan (ki cheez) hai or mare bnday ke liye wohi hai jo usne manga . Jb banda والالصالین المغصوب غیر علیھم انعمت الذین صراط المستقیم لصراط اھدنا parha hai to is par Allah farmata hai ka yeh mare banday ke liye hai or mare bnday ke liye wohi hai jo us ne manga .Bayan ki gai hadees ka asaan matlb yeh hai ke jab koi musalman surah fatiha ki tilawat karta hai to is ke liye har ayat ke badlay Allah apne banday se mukhatib hota hai yani surah fatiha parhne ki cheez nahi balkay baat cheet ka ek zinda amal hai .
Surah Al-Fatiha Wazifa Ka Tarika
Agar aap kisi preshani ka shikaar hain or koshish ka bawajood bhi aap ki preshani door nahi ho rahi to aap ko surah fatiha ka wazifa karne ki zaroorat hai . Surah fatiha ka wazifa karne se aap ki har preshani In Sha Allah mehez 14 roz me hi door ho jaye gi or aap ainda zindagi me har preshani se mehfooz ho jaye gaye . Surah fatiha ka wazifa karne ke liye aap ne juma ka din isha ki namaz ka baad 10 martaba durood shareef parhna hai Is ke baad aap 100 martaba surah fatiha mukammal yakeen or muhabat se tilawat Karen Akhir me aap dobara 10 mataba durood shareef parh kar is wazifa ko band kar den Bayan kiya gaya wazifa aap ne har namaz k baad karna hai or is wazifa ko aap ne 14 din tak jari rakhna hai In sha Allah 14 din me aap ko mojooda preshani se nijaat mil jaye gi or ainda aap har tarha ke dukh or preshani se hamesha mahfooz ho jaye gaye . Is wazifa ko kar lene se aap ko la-mahdood zahiri or batni fawaid haasil honge . Lehaza surah fatiha ke wazifa ka mushahida me ane wale chand fade neeche darj zail hain .
Surah Al Fatiha Wazifa Ke Fayde
Surah fatiha ka jo wazifa pahle bayan kiya gaya hai is ke aap ko beshumar rohani fade haasil honge . Laikin is post me aap ko is mubarak surah ke 30 mushahida me ane wale fade bataye gaye hain :Surah fatiha ki barkat se hajat or muraden poori hoti hain . Har tarha ki preshani , fiqar or gham door hote hain , Rizq me barkat paida hoti hai jiski waja se fard ko karobar me taraqi or kamyabi milna shuru ho jati hai . Qarz se nijaat milti hai Koyi mushkil kam ho to wo aasan ho jata hai Har qism ke jadu , nazar-e-bad or asaib se hifazat hoti hai . Surah fatiha zahiri or batni beemari se shifa ki sabse bari dua or dawa hai . Surah fatiha ki barkat se musalman dushmani or hasid ke shar se mahfooz rahta hai . Ghar me barkat or sukoon ata hai Aulad ki hifazat or inki bahtari ka liye nafa bakhsh hai . Karobar or mulazmat me kamyabi milti hai Har qism ka khof or dar se nijaat milti hai . Naik aulad ki paidaish ke liye mufeed hai , Surah fatiha ka wazifa karne se aurat ka hamal mahfooz rahta hai . Surah fatiha ke wazifa ki barkat se miya biwi me muhabat paida ho jati hai . Surah fatiha ki barkat se muslim khawateen talaq se mahfooz rahti hain Shohar ghair aurat ki muhabbat me mubtila nahi hota .
