Nazre bad negative energy ki 1 powerful sorat hai jes se zindagi me har koe kabhi na kabi zaroor motasar hota hai . Baz afrad nazre bad k khatanak naqsanat se bach jatay hain likan baaz tamam zindagi nazre bad k nuqsanat ka samna kartay hain .
Har insaan ke andar negative energy mujood hoti hai. Negative energy jab aankhon ke zariye dosray insaan mein daakhil hoti hai to hum kehte hain ke usay nazar lag gayi. Zaroori nahi ke nazar laganay walay ko yeh pata ho k uski nazr-e-bad se koi mutasir ho raha hai. 99 percent log aisay hi hotay hain k jin ko pata hi nahi chalta, k un ki nazar se koi dosra mutasir ho raha hai. Nazar laganay walay fard k andar jo buraiyan, nakamiyan aur bemariyan hoti hain woh aksar sehatmand fard mein nazr-e-bad ke zariye muntaqil ho jati hain.
Nazr-e-bad agar ziyada dair tak kisi bhi bachay ya baray k wujood mein mojood reh jaye to phir yeh tamam zindagi fard ko tang karti hai. Jo walidain apne bachon ko 14 saal ki umar tak nazar e bad se nahi bachatey woh bachay zindagi mein be had mushkilaat, nakamiyou, gurbat aur tangdasti ka samna karte hain.
Yaad rahay ke nazr-e-bad ke nuqsanaat ka tazkara tamam ilhaami kitaabou mein mojood hai .
Nazre Bad Ki Alamat
Nazr-e-bad ki jo alamaat ahem hain un mein mareez ka.
1. Sar Dar Hona
2.Shoulder , Tangon Aur Bazuoon Mein Dard Rehna .
3. Seenay Ke Darmiyani Hissay Mein Ghutan Ka Ehsas Hona.
4. Kaam Karne Ko Dil Nah Karna.
5. Bachon Ka Bila Waja Zid Karna Aur Rona.
6.Bachon Ka Bemaar Rehna.
7. Bachon Ka Darna.
8. Sotay Mein Dabao Parna.
9.Depression Ya Zehni Dabao Hona Waghera Hain.
Es K Ilawa Nazr-E-Bad Ki Aur Bhi Be Shumaar Alamaat Hain Jo Ke Har Fard Par Mukhtalif Andaaz Se Zahir Ho Kar Uski Zindagi Ki Nakamiyoo Ki Wajah Banti Hain . Lehaza Is Ka Bar Waqat Rohani Ilaaj Zaroor Karen Kyun Ke Jab Yeh Apni Aakhri Stage Par Pahonch Jati Hai To Us Waqt Har Insaan Yeh Kehta Hai Ke Hamara To Mind Hi Is Taraf Nahi Gaya .
Nazre bad k Asraat
Nazre bad fard ko chotay se chota aur baray se bara nuqsaan day sakti hai aur uski wajah se agar nuqsanaat shuru ho jayen to woh aasani se nahi ruktay .
Nazre bad ke nuqsanaat ke liye kisi bhi fard ka aap ka dushman hona zaroori nahi balkay nazr-e-bad laganay wala ho sakta hai k wo aap ka bohat qareebi ho, lekin agar aap es ke nazar bad se mutasir ho gaye to yeh zaroori nahi ke is fard ko es baat ka ilm bhi ho .
Hat’ta ke bachay, boorhay mard aur aurtain jinnat ki nazr-e-bad ka shikaar bhi ho sakti hain.
Nazre bad kay asraat har taraf phailay hue hain. Lehaza es se koi bhi kisi bhi jagah par mutasir ho kar apni zindagi me pareshani k liye rasta hamwar kar sakta hai .
Nazreen nazr-e-bad ki wajah se bachay bemaar, ziddi aur be had disobedient ho sakhte hain.
Nazre bad ki wajah se aap ko depression ya koi daimi bemari lag sakti hai.
Nazre bad ki wajah se aap ka rizq, nokari aur karobar shadeed nuqsaan se do char ho satke hain .
Nazre bad ki wajah se haadsa ho sakta hai.
Nazr-e-bad ki wajah se achanak koi museebat a skati hai .
Nazre bad ki wajah se rishta aur shadi toot sakti hai .
Uski wajah se miyan biwi mein nafrat peda ho sakti hai .
Hamal ko agar nazr lag jaye to aksar log aulaad se mahroom rehtay hain.
New born baby ya pregnant aurat k pait ko agar nazar lag jay tu inhain shadeed pareshani ka saamna karna parh jata hai .
Ghar ko nazar lag sakti hai jiski wajah se hansta basta ghar ujar sakta hai.
Nazr-e-bad ki wajah se parents ki mohabbat aulaad ke liye nafrat mein badal jati hai .
Is ke ilawa bhi nazr-e-bad k be shumaar asraat aur nuqsanaat hain jo ke har mard, aurat, larke, larki ya bachon ko mukhtalif andaaz se mutasir karte hain .
Lehaza koi nazr-e-bad se mutasir ho ya nah ho us ko nazr-e-bad se nijaat aur hifazat ke liye sahi instructions ko follow karna aur rohani hifazat hasil karna bہhut zaroori hai.
Nazre Bad se Shifa aur Hifazat
Yad rahay k nazre bad kisi fard ki jan bhe le sakti hai aur ye baat hadees mein hai lahza iss se hifazat aur shifa zaroori hai . Nazre bad se shifa aur iss se hifazat k liye powerful rohani amal ye hai k aap dua nade ali sharif ko mushk , amber , zafran aur gulab se tehreer kar k apne ghar mein bhe rakhain aur apne pas bhe rakhain . Insha allah agr aap k body mein nazre bad asrat hain tu wo issi waqat door ho jayen ghay aur iss k baad aap ko kabi bhe nazar nahi laghya ghe maghar shart ye hai aap se ye naqsh kabhi ghum na ho .
Agr koe bhai ya behan ye naqsh khud tehreer na kar sakain tu wo naqsh astana se bhe sirf hadia kharch ada kar k hasil kar sakty hain .