Imthehan mein kamyabi ki dua har taalib e ilm karta hai lekin mehez dua mangnay se kamyabi mumkin nahi. Balkay kamyabi ke liye mehnat karna bhi zaroori hai aur baaz buzuragh farmatay hain ke asal mein sahih mehnat hi dua hai. Jiski bana par allah ki zaat fard ko kamyabi ataa farmatay hain. Jo dua hum allah ki bargaah mein haath utha kar ya sajday mein ja kar mangte hain is ka maqsad istiqamat hai. Taakay allah ki zaat fard ko mehnat karne aur is par qaim rehne ki istiqamat ataa farmae. Dua ka asal mafhuum yahi hai. Agar aap yeh baat samajh gaye to zindagi ki bohat si pareshaaniya isi bana par hal ho jayen ge. Aur jo log mehez dua par tawakkal karte hain aur dua k maqsad ko nahi samajh paate un ko apni islaah karni chahiye. Isi terha har taalib e ilm ko ziada tawajah apni parhai ki taraf deeni chahiye. Aur din mein aik ya do martaba allah se mehnat aur kamyabi ki dua maang leni chahiye .
Agar koi taalib e ilm yeh samjhta hai ke raat din wazifa ya dua karne se usay baghair mehnat kiye imthehan mein kamyabi haasil ho jaye gi to yeh soch bhi allah aur is ke rasool ko pasand nahi .
Lehaza agar aap chahite hain ke allah ki zaat aap ki mehnat ka ajar kamyabi ki soorat mein aap ko ataa farmaen aur mehnat karne ke douran aap k rastay mein kisi qisam ki rokavt, zehni pareshani ya dabao nah aaye aur aap thanday dimagh se apni parhai ki taraf tawajah markooz rakh payen to aap fajar ki namaz ke baad 10 martaba durood e ibraahimi aur 10 martaba حسبنا اللہ ونعم الوکیلparh kar allah ki bargaah mein dua kar liya karen. Insha allah aap ko imtihan aur zindagi ke har maidan mein kamyabi zaroor haasil hogi .

Imtihan Mein Kamyabi Ki Dua Urdu

امتحان میں کامیابی کی دعا ہر طالب علم کرتا ہے لیکن محض دعا مانگنے سے کامیابی ممکن نہیں ۔ بلکہ کامیابی کے لیے محنت کرنا بھی ضروری ہے اور بعض بزرگ فرماتے ہیں کہ اصل میں صحیح محنت ہی دعا ہے ۔جسکی بنا پر اللہ کی ذات فرد کو کامیابی عطا فرماتے ہیں ۔ جو دعا ہم اللہ کی بارگاہ میں ہاتھ اٹھا کر یا سجدے میں جا کر مانگتے ہیں اس کا مقصد استقامت ہے ۔ تاکہ اللہ کی ذات فرد کو محنت کرنے اور اس پر قائم رہنے کی استقامت عطا فرماے ۔ دعا کا اصل مفہوم یہی ہے ۔ اگر آپ یہ بات سمجھ گئے تو زندگی کی بہت سی پریشانیاں اسی بنا پر حل ہو جائیں گے ۔اور جو لوگ محض دعا پر توکل کرتے ہیں اور دعا کی مقصدیت کو نہیں سمجھ پاتے ان کو اپنی اصلاح کرنی چاہیے ۔ اسی طرح ہر طالب علم کو ذیادہ توجہ اپنی پڑھائی کی طرف دینی چاہیے ۔اور دن میں ایک یا دو مرتبہ اللہ سے محنت اور کامیابی کی دعا مانگ لینی چاہیے ۔
اگر کوئی طالب علم یہ سمجھتا ہے کہ رات دن وظیفہ یا دعا کرنے سے اسے بغیر محنت کیے امتحان میں کامیابی حاصل ہو جاے گی تو یہ سوچ بھی اللہ اور اس کے رسول صلی اللہ علیہ والہ وسلم کو پسند نہیں ۔
لہذا اگر آپ چاہیتے ہیں کہ اللہ کی ذات آپ کی محنت کا اجر کامیابی کی صورت میں آپ کو عطا فرمائیں اور محنت کرنے کے دوران آپ کی راستے میں کسی قسم کی روکاوٹ ، ذہنی پریشانی یا دباو نہ آئے اور آپ ٹھنڈے دماغ سے اپنی پڑھائی کی طرف توجہ مرکوز رکھ پائیں تو آپ فجر کی نماز کے بعد 10 مرتبہ دردود ابراہیمی اور 10 مرتبہ حسبنا اللہ ونعم الوکیل پڑھ کر اللہ کی بارگاہ میں دعا کر لیا کریں ۔ انشاء اللہ آپ کو امٹحان اور زندگی کے ہر میدان میں کامیابی ضرور حاصل ہوگی ۔

agr aap apni pareshani ka 100% solution rohaniet se hasil karna chahte hain tu 5 min ka rohani muraqbah kar k hamein itla krain , Insha Allah aap ko zindagi aur kismat badal dene wala parehani ka rohani hal hasil ho jae gha . iss ke liye neche mojood buton par click krain