Author: Noor Ali Fatima

Dua For Husband Success Urdu-Hindi

Dua For Husband Success
Ager koi behan ye chahti hai ke uske shohar ko zindagi ke har maidan mein kamiyabi hasil hoti rahe aur us ka shohar apni biwi se hamesha muhabbat karta rahe to woh 7 din tak dua mubarak Hasbunallahu wa ni’mal wakeel ka wazifa kare. Is wazife ke liye aap Jumma ke din Isha ki namaz ke baad awwal aur aakhir 10-10 martaba durood pak word karein aur darmiyan mein aap 700 martaba dua mubarak Hasbunallahu wa ni’mal wakeel wrid karein.

Read More

Naraz Shohar Ko Manane Ka Wazifa Urdu-Hindi

Naraz Shohar Ko Manane Ka Wazifa

Durood Taj aap ko bazaar se aasani se mil jayega is ke ilawa har paanch sorah mein Durood Taj diya gaya hota hai. Durood Taj ka wazifa shohar ki narazgi aur gussa ko hamesha ke liye khatam kardeta hai, aur is maqsad ke liye aap Jumma ke din Isha ki namaz ada karne ke baad awal aur aakhir 10-10 martaba Durood Pak parhein, aur darmiyan mein aap dononfl namaz Hadiya Bibi Fatima (SA) ada karein, aur nawafil ada karne ke baad aap 41 martaba Durood Taj muhabbat se parhein, aur ye wazifa aap 14 din tak jari rakhein.

Read More

Surah Ikhlas Ka Wazifa For Husband Love Urdu-Hindi

Surah Ikhlas Ka Wazifa For Husband Love

Agar koi khatoon apne shohar ki mohabbat jald aur hamesha ke liye hasil karna chahti hai to is ke liye woh chand ki pehli jumeraat ko isha ki namaz ke baad awwal aur aakhir 10-10 martaba durood pak parhe, aur is ke baad Hazrat Bibi Fatima علیہ سلام اللہ علیہا ko hadiya dene ki niyat se do nafl is tarah ada karein ke in dono nafl mein aap alhamdulillah ke baad 3-3 martaba Surah Ikhlas tilawat karein. Nafl ada karne ke baad aap 1100 martaba Surah Ikhlas mohabbat se parhein.

Read More

Husband Ko Control Karne Ka Wazifa Urdu-Hindi

Yeh surah Al-e-Imran ki ayat number 26 hai jisko ko bohat se maqasid hasil karne ke liye wird kiya jata hai. Is ayat mubarakah ka wird khaas kar rizq mein barkat, kamiyabi aur shohar ki mohabbat ko hasil karne ke liye kiya jata hai. Agar koi behan apne shohar ki mohabbat hasil karna chahti hai aur yeh bhi chahti hai ke uski shadi shuda zindagi mein hamesha khairo barkat aur khushhali rahe to woh behan Surah Aal-e-Imran ki ayat 26 ka wazifa kare.

Read More
WeCreativez WhatsApp Support
You Can Contact for Istikhara And Wazifa
how can I help you?